Shiv Chalisa
Bhagwan Shiv ko Sanatan dharm mein sanhaar aur punarnirman ke devta ke roop mein pooja jaata hai।
Shiv Chalisa Bhagwan Shiv ki stuti mein rachit ek pavitra bhakti rachna hai।
Shiv Chalisa ka paath karne se bhakton ko maansik shaanti aur adhyatmik shakti prapt hoti hai।
Shiv Chalisa ka Paath
॥ Doha ॥
Jai Ganesh Girija suvan,
Mangal mool sujaan।
Kahat Ayodhyadas tum,
Dehu abhay vardaan॥
॥ Chaupai ॥
Jai Girija pati deen dayaala।
Sada karat santan pratipaala॥
Bhaal chandrama sohat neeke।
Kaanan kundal naagphani ke॥
Ang gaur shir Gang bahaaye।
Mundmaal tan kshaar lagaaye॥
Vastra khaal baaghambar sohe।
Chhavi ko dekhi naag man mohe॥
Maina maatu ki have dulaari।
Baam ang sohat chhavi nyaari॥
Kar trishool sohat chhavi bhaari।
Karat sada shatrun kshaykaari॥
Nandi Ganesh sohai tahan kaise।
Saagar madhya kamal hain jaise॥
Kartik Shyaam aur Ganraau।
Ya chhavi ko kahi jaat na kaau॥
Devan jabahin jaay pukaara।
Tab hi dukh Prabhu aap nivaara॥
Kiya upadrav Taarak bhaari।
Devan sab mili tumhin juhaari॥
Turat Shadanan aap pathaayu।
Lavanimesh mah maar giraayu॥
Aap Jalandhar asur sanhaara।
Suyash tumhaar vidit sansaara॥
Tripurasur san yuddh machaai।
Sabahin kripa kar leen bachaai॥
Kiya tapahin Bhaagirath bhaari।
Purab pratigya taasu Puraari॥
Daanin mah tum sam kou naahin।
Sevak stuti karat sadaahin॥
Ved naam mahima tav gaai।
Akath anaadi bhed nahin paai॥
Prakati udadhi manthan mein jwaala।
Jarat suraasur bhaye vihaala॥
Keenhi daya tahan kari sahaai।
Neelkanth tab naam kahaai॥
Poojan Ramchandra jab keenha।
Jeet ke Lank Vibhishan deenha॥
Sahas kamal mein ho rahe dhaari।
Keenh pariksha tabahin Puraari॥
Ek kamal Prabhu raakheu joi।
Kamal nayan poojan chah soyi॥
Kathin bhakti dekhi Prabhu Shankar।
Bhae prasann diye ichchhit var॥
Jai jai jai anant avinaashi।
Karat kripa sab ke ghatvaasi॥
Dusht sakal nit mohi sataavai।
Bhramat rahoun mohi chain na aavai॥
Traahi traahi main Naath pukaaro।
Yehi avasar mohi aan ubaaro॥
Lai trishool shatrun ko maaro।
Sankat se mohi aan ubaaro॥
Maat-pita bhrata sab hoi।
Sankat mein poochat nahin koi॥
Swaami ek hai aas tumhaari।
Aay harahu mam sankat bhaari॥
Dhan nirdhan ko det sadaahin।
Jo koi jaache so phal paahin॥
Astuti kehi vidhi karain tumhaari।
Kshamahu Naath ab chook humaari॥
Shankar ho sankat ke naashan।
Mangal kaaran vighn vinaashan॥
Yogi yati muni dhyaan lagaavain।
Shaarad Narad sheesh navaavain॥
Namo namo jai namah Shivaay।
Sur Brahmaadik paar na paay॥
Jo yah paath kare man laai।
Ta par hot hai Shambhu sahaai॥
Riniya jo koi ho adhikaari।
Paath kare so paavan haari॥
Putra heen kar ichchha joi।
Nishchay Shiv prasaad tehi hoi॥
Pandit Trayodashi ko laave।
Dhyaan poorvak hom karaave॥
Trayodashi vrat karai hamesha।
Taake tan nahin rahai kalesha॥
Dhoop deep naivedya chadhaave।
Shankar sammukh paath sunaave॥
Janm janm ke paap nasaave।
Ant dhaam Shivpur mein paave॥
Kahain Ayodhyadas aas tumhaari।
Jaani sakal dukh harahu humaari॥
॥ Doha ॥
Nitt nem kar praatah hi,
Paath karoun Chalisa।
Tum meri manokaamna,
Poorn karo Jagdeesh॥
Magsar chhathi hemant ritu,
Sanvat chausath jaan।
Astuti Chalisa Shivahi,
Poorn keen kalyaan॥
Shiv Chalisa ke laabh
- Man ki shaanti
- Nakaratmak urja se mukti
- Adhyatmik unnati
- Parivaar mein sukh-samriddhi
Shiv Chalisa paath ka mahatva
Somvaar ke din Shiv Chalisa ka paath karne se Bhagwan Shiv ki vishesh kripa prapt hoti hai।