Shanivar ki Chalisa: Har Shanivar karein is Chalisa ka paath, Shanidev honge prasann, safalta ki daud mein nikalenge sabse aage
Shani Chalisa: Hindu dharm mein Shanivar ka din nyaay ke devta Shanidev ko samarpit maana gaya hai. Is din bhakt Shanidev ki vidhipoorvak pooja karte hain aur Shani mandir mein jaakar unhe tel arpit karte hain.
Aisa maana jaata hai ki agar kisi jaatak par Shanidev ki kripa hai to use jeevan mein kisi pareshani ka saamna nahi karna padta hai. Saath hi, vyakti ke ruke hue sabhi kaarya banne lagte hain.
Lekin agar kisi jaatak par Shanidev ki tirchi nazar pad jaaye to uske jeevan mein kai pareshaniyan aane lagti hain. Aise mein jyotish ki maanein to agar aap Shani Dev ki kripa praapt karna chahte hain, to Shanivar ke din Shanidev ki pooja ke dauraan Shani Chalisa ka paath avashya karein.
Aaiye, yahaan padhiye poori Shani Chalisa…
Shri Shani Chalisa
Doha
Jai-Jai Shri Shanidev Prabhu, sunahu vinay maharaj।
Karahu kripa he Ravi tanay, rakhahu jan ki laaj॥
Chaupai
Jayati-jayati Shanidev dayaala।
Karat sada bhaktan pratipaala॥
Chari bhuja tan shyaam viraajai।
Mathe ratan mukut chhavi chhaajai॥
Param vishaal manohar bhaala।
Tedhi drishti bhrikuti vikraala॥
Kundal shravan chamacham chamkai।
Hiye maal muktan mani damkai॥
Kar mein gada trishool kuthaara।
Pal vich karain arihin sanhaara॥
Pingal krishno chhaya nandan।
Yam konasth raudra dukh bhanjan॥
Sauri mand Shani dash naama।
Bhanu putra poojahin sab kaama॥
Jaapar Prabhu prasann hon jaahin।
Rankahu rao karen kshan maahin॥
Parvatahūn trun hoi niharat।
Trunhūn ko parvat kari daarat॥
Raaj milat ban Ramahi diinha।
Kaikeyihoo ki mati hari liinha॥
Banhun mein mrig kapat dikhai।
Maat Jaanaki gai churaai॥
Lakshanahi shakti vikal kari daara।
Machi gayo dal mein haahaakaara॥
Diyo keet kari kanchan Lanka।
Baji Bajrang veer ko danka॥
Nrip Vikram par jab pagu dhaara।
Chitra mayur nigali gai haara॥
Haar naulakha laagyo chori।
Haath pair darvaayo tori॥
Bhaari dasha nikrisht dikhaao।
Telihun ghar kolhu chalvaayo॥
Vinay raag deepak mah keenho।
Tab prasann Prabhu hain sukh deenho॥
Harishchandrahu nrip naari bikaani।
Aaphun bhare dom ghar paani॥
Vaise Nal par dasha siraani।
Bhoonji meen kood gai paani॥
Shri Shankarahi gaho jab jaai।
Paarvati ko sati karaai॥
Tani bilokat hi kari reesa।
Nabh udi gayo Gauri sut seesa॥
Paandav par hain dasha tumhaari।
Bachi Draupadi hoti ughaari॥
Kaurav ki bhi gati mati maari।
Yuddh Mahabharat kari daari॥
Ravi kahn mukh manh dhari tatkaala।
Lekar koodi paryo paataala॥
Shesh dev lakhi vinati laai।
Ravi ko mukh te diyo chhudaai॥
Vaahan Prabhu ke saat sujaana।
Gaj diggaj gardabh mrig swaana॥
Jambuk sinh aadi nakh dhaari।
So phal jyotish kahat pukaari॥
Gaj vaahan Lakshmi grih aavai।
Hay te sukh sampatti upjaavai॥
Gardabh haani karai bahu kaaja।
Sinh siddhkar raaj samaaja॥
Jambuk buddhi nasht kari daarai।
Mrig de kasht praan sanhaarai॥
Jab aavahin Prabhu swaan savaari।
Chori aadi hoy dar bhaari॥
Taisahin chaar charan yah naama।
Swarn loh chaandi aru taamba॥
Loh charan par jab Prabhu aavain।
Dhan sampatti nasht karaavain॥
Samta taamra rajat shubhkaari।
Swarn sarv sukh mangal bhaari॥
Jo yah Shani charitra nit gaavai।
Kabahun na dasha nikrisht sataavai॥
Adbhut naath dikhaavain leela।
Karain shatru ke nashi bal dheela॥
Jo pandit suyogya bulvaai।
Vidhivat Shani grah shaanti karaai॥
Peepal jal Shani-divas chadhaavat।
Deep daan dai bahu sukh paavat॥
Kahat Ram Sundar Prabhu daasa।
Shani sumirat sukh hot prakaasha॥