Ravivaar Vrat Chalisa English

Ravivar ki Chalisa: Ravivar ko karein Surya Chalisa ka paath, bani rahegi sukh-samriddhi, dhan ke saath pratishtha mein hogi vriddhi

Hindu dharm mein pratyek Ravivar ko Bhagwan Surya Dev ki pooja ki jaati hai. Ye din bigde kaamon ko banaane ke liye behad shubh maana jaata hai. Aise mein is din subah snaan ke baad Surya Dev ki aaradhana karni chahiye. Saath hi jal chadhana chahiye.

Iske alawa Ravivar ke din Bhagwan Surya Dev ki pooja ke dauraan Surya Chalisa ka paath zaroor karein. Is Chalisa ke paath se aap Bhagwan Surya ko prasann kar apni manokamnaon ki poorti kar sakte hain.

Aise mein aaj hum lekar aaye hain poori Surya Chalisa, jisse Surya Dev ki kripa aap par bani rahegi.

 

॥ Chaupai ॥

Jai Savita Jai Jayati Divaakar!
Sahasraanshu! Saptashva Timirhar॥

Bhanu! Patang! Marichi! Bhaskar!
Savita Hans! Sunoor Vibhakar॥

Vivasvaan! Aaditya! Vikartan।
Martand Harirup Virochan॥

Ambarmani! Khag! Ravi kehlaate।
Ved Hiranyagarbh kah gaate॥

Sahasraanshu Pradyotan, kahikahi।
Munigan hot prasann modalahi॥

Arun sadrish saarathi manohar।
Haankat hay saata chadhi rath par॥

Mandal ki mahima ati nyaari।
Tej roop keri balihari॥

Ucchaihshrava sadrish hay jote।
Dekhi Purandar lajjit hote॥

Mitra Marichi Bhanu Arun Bhaskar।
Savita Surya Ark Khag Kalikar॥

Poosha Ravi Aaditya naam lai।
Hiranyagarbhaay namah kahikai॥

Dwaadas naam prem so gaavein।
Mastak baarah baar navaavein॥

Chaar padaarath jan so paave।
Dukh daaridra agh punj nasaave॥

Namaskaar ko chamatkaar yah।
Vidhi Harihar ko kripa saar yah॥

Sevai Bhanu tumahin man laai।
Ashtasiddhi Navnidhi tehi paai॥

Baarah naam uchaaran karte।
Sahas janam ke paatak tarte॥

Upaakhyaan jo karte tavjan।
Ripu so jalmilahat so tehi chhan॥

Dhan sut jut parivaar badhatu hai।
Prabal moh ko phand katatu hai॥

Ark sheesh ko raksha karte।
Ravi lalaat par nitya biharte॥

Surya netra par nitya viraajat।
Karn des par dinkar chaajat॥

Bhanu naasika vaas karahun nit।
Bhaskar karat sada mukh ko hit॥

Onth rahain parjanya hamaare।
Rasna beech tikshn bas pyaare॥

Kanth suvarn ret ki shobha।
Tigm tejasah kaandhe lobha॥

Poosha baahu Mitra peethahin par।
Twashta Varun rahat su-ushnkar॥

Yugal haath par raksha kaaran।
Bhanumaan urasarm su-udarachan॥

Basat nabhi Aaditya manohar।
Kati manh rahat man mudbhar॥

Jangha Gopati Savita baasa।
Gupt Divaakar karat hulaasa॥

Vivasvaan pad ki rakhwaari।
Baahar baste nit tam haari॥

Sahasraanshu sarvaang samhaare।
Raksha kavach vichitra vichaare॥

As jojan apne man maahin।
Bhay jagbeech karahun tehi naahin॥

Dadru kushth tehi kabahu na vyaapai।
Jojan yaako man manh jaapai॥

Andhkaar jag ka jo harta।
Nav prakaash se aanand bharta॥

Grah gan grasi na mitavat jaahi।
Koti baar main pranavau taahi॥

Mand sadrish sut jag mein jaake।
Dharmraaj sam adbhut baanke॥

Dhanya-dhanya tum Dinmani deva।
Kiya karat surmuni nar seva॥

Bhakti bhaav yut poorn niyam so।
Door hatat so bhav ke bhram so॥

Param dhanya so nar tan dhaari।
Hain prasann jehi par tam haari॥

Arun Maagh manh Surya Phalgun।
Madhu Vedaang naam Ravi Udayan॥

Bhanu uday Baisaakh ganaavai।
Jyeshth Indra Aashaadh Ravi gaavai॥

Yam Bhaadon Aashwin Himreta।
Kaatik hot Divaakar neta॥

Aghan bhinn Vishnu hain Poosahim।
Purush naam Ravi hain Malmaasahim॥


॥ Doha ॥

Bhanu Chalisa prem yut, gaavahin je nar nitya।
Sukh sampatti lahi bibidh, honhi sada kritakritya॥

 

 

रविवार व्रत चालीसा हिंदी

 

Post navigation

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *