Jai Ganesh, Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva,
Mata jaaki Parvati, pita Mahadeva॥
Ek dant dayavant, chaar bhujadhari,
Mathe par tilak sohe, moose ki sawaari॥
Paan chadhe, phool chadhe aur chadhe mewa,
Ladduan ke bhog lage, sant kare seva॥
Jai Ganesh Jai Ganesh…
Andhan ko aankh det, kodhin ko kaya,
Baanjhan ko putra det, nirdhan ko maya॥
Haar chadhe, phool chadhe aur chadhe mewa,
Ladduan ke bhog lage, sant kare seva॥
Jai Ganesh Jai Ganesh…
Deenan ki laaj rakho, Shambhu sutkaari,
Kaamna ko poorn karo, jaun balihari॥
Sur Shyam sharan aaye, safal kije seva,
Ladduan ke bhog lage, sant kare seva॥
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva,
Mata jaaki Parvati, pita Mahadeva॥ 🙏