Mansa Devi ki Aarti English

Jai Mansa Mata, Maiya Jai Mansa Mata।
Jo nar tumko dhyaata, manvaanchhit phal paata॥ (Tek)

Jaratkaaru muni patni, tum Vasuk bhagni,
Maiya tum Vasuk bhagni।
Kashyap ki tum kanya, Aastik ki maata,
Maiya Aastik ki maata॥

Garv-Dhanvantari-naashini, hansvaahini Devi,
Maiya hansvaahini Devi।
Sur-nar-muni-gan dhyaavat, Jai Mansa Mata,
Maiya Jai Mansa Mata॥

Parvatvaasini, sankatnaashini, akshay dhan daatri,
Maiya akshay dhan daatri।
Putra-pautraadi pradaayani, manvaanchhit phal daata,
Maiya manvaanchhit phal daata॥

Mansa ji ki aarti jo koi nar gaata,
Maiya jo koi nar gaata।
Kahat Shivanand Swami sukh sampatti paata,
Maiya sab kuchh hai paata॥

मनसा देवी की आरती हिंदी

Post navigation

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *