Om Jai Surya Bhagwan,
Jai ho Dinkar Bhagwan।
Jagat ke netra swaroopa,
Tum ho trigun swaroopa।
Dharat sab hi tav dhyaan,
Om Jai Surya Bhagwan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Saarathi Arun hain Prabhu tum,
Shwet kamal dhaari।
Tum chaar bhuja dhaari॥
Ashv hain saat tumhaare,
Koti kiran pasaare।
Tum ho dev mahaan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Ushaakaal mein jab tum,
Udayachal aate।
Sab tab darshan paate॥
Phailaate ujiyaara,
Jaagta tab jag saara।
Kare sab tab gungan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Sandhya mein Bhuvaneshwar,
Astachal jaate।
Godhan tab ghar aate॥
Godhuli bela mein,
Har ghar har aangan mein।
Ho tav mahima gaan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Dev danuj nar naari,
Rishi munivar bhajate।
Aditya hriday japate॥
Strot ye mangalkaari,
Iski hai rachna nyaari।
De nav jeevan daan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Tum ho trikaal rachiyata,
Tum jag ke aadhaar।
Mahima tav aparampaar॥
Praanon ka sinchan karke,
Bhakton ko apne dete,
Bal vriddhi aur gyaan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Bhoochhar jalchar khechar,
Sab ke ho praan tumhi।
Sab jeevon ke praan tumhi॥
Ved puraan bakhaane,
Dharm sabhi tumhe maane।
Tum hi sarv shaktimaan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Poojan karti dishaayen,
Pooje dash dikpaal।
Tum bhuvanon ke pratipaal॥
Rituyen tumhaari daasi,
Tum shaashvat avinaashi।
Shubhkaari anshumaan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥
Om Jai Surya Bhagwan,
Jai ho Dinkar Bhagwan।
Jagat ke netra swaroopa,
Tum ho trigun swaroopa॥
Dharat sab hi tav dhyaan,
Om Jai Surya Bhagwan॥
Om Jai Surya Bhagwan॥